Blog Ko Popular Kaise Kare. Viral Your Blog Tips 2019 In Hindi


Blog Ko Popular Kaise Kare. Blog Likhne Ke Tarike 2019






Hello Dosto i Hope you all doing very well. Ek blog ko viral krna ajkal bahut difficult ho gya hai kyuki competition bhi bahut hai . Log article to likhte hai but sahi tarike se nhi.  Aaj main kuch tips batane jaa rha hu is blog ke jariye. Sabhi points ko achhe se padna sayad apke kuch kaam ajaye.


1. Know Your Audience :-

Dosto iska meaning hai ki apko apni audience  ke baare me pta hona chahiye ki kis category  ki audience  ko aap target krna chahte ho.  Phle ye cheez decide ho jayegi to apko article ke liye topic search krne me bahut help milegi.  


2. How To Find Topics For Blog Post :-

Blog likhne me sbse badi problem yahi hoti hai ki akhir article kis topic par likha jaye. Ham hamesa confused rhte hai ki konsa topic trending me hai.  Iska sbse  easy tarika hai ki apko internet pr ye cheez search krni hogi ki log kya kya cheeze or kis trh ki cheeze search krte hai kya kya problems  log ki hai ..
for example aap log quora website pr ja skte hai vaha logo ke question ka answe de skte hai.



3. Find Right keywords:-

Ek bar apko topic mil gya ab uske baad sbse important kaam aata hai Us topic se realated keyword find karna. keyword means apke blog ke liye esi heading ya fir title jo ki log bahut jyada google par  search krte hai. blog title esa hona chahiye jisse log jyada se jyada  search kre. Esa keyword find krne ke liye kaafi saari websites hain kuch  free or kuch  paid dono trh ki websites available hain. ya fir aap log simply google planner ka use kr skte hain 

4. Use Of Headings And Sub-Headings :-

Guys headings and sub-headings ek article ka sbse important part hoti hai. Inhi ki wajah se apna article kaafi attractive lgta hai and readers ko achha bhi lgta hai or jyada se jyada chance hota hai ki readers apke article ko share krenge. Ek attractive si headline honi chahiye or apne article me chhote chhote famous sub-headings honi chahiye. In simple words hame article Ko topic wise point bana kar likhna hai na ki ek hi paragraph me likhna hai. 

5. SEO(Search Engine Optimization):-

SEO bhi kaafi important hai apne article ko google par rank krvane ke liye.  SEO ko smjhne ke liye kaafi time chahiye iliye main ek article me likh kar to ni bata skta.  Aap log youtubers ki videos dekh kar apne blog ke liye SEO kar skte hai.  basically SEO apke post ko viral krne me kaafi help krti hai kaafi traffic bhi aata hai.  

Final Me Two Bonus Tip

  1. Hamesa jab bhi  blog post likhe to last me apni audience se comment or share krne ko jrur bole. Ye trick youtube par to sab krte hai lekin blogging bahut kam log krte hai. Apko pta hona chahiye ki logo ko apka article accha lga ya nhi. Jab tak log comment krke ni batayenge apko pta kaise chalrga or ap apne articles me improve ni kar payenge. 

  2. The last thing is about font size and font style. font size ek jaisa hona chahiye.  Esa nhi ki kahi chhota kahi bada . apko heading or sub-headings ka font size thoda bada rkhna hai or massage body ka font size normal rkhna hai.  And font style 'verdana' rkho ye sbse best font style hai. Main bhi yahi use krta hu.


Ab Agar apko meri bato me kuch bhi acchha lga to please comment krke jarur batao.. 
muje meri kamiya batao jisse main or jyada mahnat kru or apne blog me or jjyada improve kru. 

THANK YOU SO MUCH 

Post a Comment

0 Comments